Someday,somewhere......

Sunday, January 23, 2011 by Ankur

Hope this dream comes true...


 someday,somewhere,I saw someone
the one like a morning's glow
like the beauty of water flow
the one from whom even the moon will be jealous
the one whose just so flawless


someday,somewhere I gathered the courage
got out of my little cage
but just as i reached towards her
i couldn't speak a single word
and i was feeling like a coward
and then she started and i just heard
every topic, interesting or wierd

someday, somewhere, she embraced me
about her life,love and interests
she phrased me


someday, somewhere, I finally confessed
about her eternal beauty with which she was blessed
and then the story started knitting
and it was looking like a perfect beginning


but one day when i woke somewhere
looked just here and there
then came a loud scream
as I realised that it was just a dream.........



samay ka chakr

Thursday, January 20, 2011 by Ankur

 Nothing much to say this time....hope u'll like it!!

samay ka ye kaanta yunhi chalta rehta hai
ye waqt aise hi behta rehta hai

manzil badal jati hai
raaste badal jate hain
rishte badal jate hain
naate badal jate hain

badal jati hai rehne ki jagah
badal jati hai jine ki vajah
badalti nahi hain toh kuch yaadein
kabhi kabhi yaad aati hain wo baatein
yaad aa jate hain wo saare pal
lagta hai jaise hua tha ye kal

aisi hi hai waqt ki maya
pata ni kab palat jaye kiski kaya

isliye jo aaj hai usko jiyo
bite hue kal ki khushi ko jiyo
aane wale kal ki umang ko jiyo
aur har roz bas zindagi ke amrit ko piyo...

d d d d d d d d dilli dilli dilli dilli......

Friday, January 14, 2011 by Ankur

namaste doston, 
toh aaj ka topic hai dilli(delhi).......vaise toh delhi ko ek kavita ke andar describe karna bhut mushkil hai...but fir bhi ek chhoti si koshish...

bharat ki hai ye rajdhani
history hai iski bahut jani pehchani
pata nahi vaise ki kisne bajaya pehle baja
aur kaun bana yahan ka pehla raja

asal mein toh ye hai baat 
ki alag hi hain yahan ke din aur raat
 poore desh ki hai ye dhadkan
juda hai isse bharat ka har ek kan

diili mein jaise hi padte hain pair
mann krta hai karne ko iski sair

itihaas se lekar vartmaan tak 
har shetr ka milta hai gyan
kharid na paoge tum
itna milta hai yahan samaan

 bhool nahi sakta koi chandni chowk ki chaat
aur cp ki toh alag hai baat
chahe ho palika ya sarojini nagar
har kadam par hai ek nayi dagar


alag hai yahan ka khana
alag hai yahan ka rehna
par hume toh bas logon se ye hai kehna
ki dilli kam se kam ek baar toh zarur aana....!!!

cricket ka 'bazaar'

Sunday, January 9, 2011 by Ankur

sorry guyz....i was a little busy these days....first week of second sem....a family function...etc etc......
but as soon as i recovered from all this....the only thing that came to my mind was the ipl season 4 auction!!!


tv par h sirf ipl ki news
cricket xperts de rahe hn apni views


cricketers ki lag rhi h boli
kuch teams ka nikal rha h diwala
toh kuch mana rhi hn holi


cricket ki saji h aisi mandi
ki bik rhe hn players jaise
aaloo,pyaaz aur bindi


kisi pr kharch ho rhe hn crore
toh kisi ko nhi mila kharid daar
aisa lag rha h jaise bn gye hn
saare millioners dukaandar


8 teams kya kam thi
jo aa gyi 2 aur
ek doosre se aage nikalne ki
laga rhe hn sb daud


chalo jo bhi ho
usme apna kya jata h
apne ko bhi toh
ipl dekhne mei maza aata h... ;) 


P.S: i think dat if even 1 kg onion is given to players....then also they will agree to play ipl...lol..

my first sem..

Wednesday, December 29, 2010 by Ankur

since everyone was writing something on sem 1....so i also added something to it....




pata hi nahi chala kab hua shuru
kab ho gaya iska anth
par hua isme itna kuch
ki likha ja sakta hai ispar ek granth


shuru mei toh hui thi thodi pareshani
lag rahi thi jagah kafi anjaani
par kuch samay mei hi
lagne lagi ye jagah jani pehchani


profs ne par dikha diye kuch dino mei apne rang
minors aa gaye karne humari masti bhang
in exams ne diya hume karara jhatka
zindagi mei pehli baar laga itna jordaar phatka


socha ab karenge shuru padai
kyunki number aaye the dus mei se sirf dhai
par do din mei change ho gayi approach
laga ki kyun change ki thi apni soch


fir aaya b'days ka season
celebrate karne ka tha naya reason
in sab mei padai ki ghum ho gayi tension
jab tak nahi hua tha minor2 ka naam mension


fir ek hafte tak chala ye tanav
mann par kar gaya kafi ghaav
par tabhi shuru ho gaya iit mei fest
humne kaha ab bhaad mei jaye sare test


wo char din mei kiya khoob dhammal
kyunki wo fest hi tha itna kamaal
fir kuch hafte yun hi nikal gaye
majors ke fir din aaye


fir socha ab kya padhna
ab kuch ni ukhadna
socha agli baar kuch karenge
agle semester mei hi naye rang bharenge..... :D :D

doston ki yaad...

Friday, December 24, 2010 by Ankur

wel...aaj thoda purane doston ki yaad aayi...(or wel i shud say naye!!)....toh unhi ko samarpit meri agli peshkash...

aayi hai aaj kuch doston ki yaad
bhale hi thode dino baad
ghoome jab aaj toh yaad aa gyi wo jagah
har ek se milne ki mil ki ek nayi vajah

wo hasna, wo rona,
wo ek doosre par chillana
bina kisi baat ke raat bhar gappe ladana
wo bahar ka khana
wo lectures udana
ek doosre par yuhin gussa utarna
wo ruthna, wo manana
sach mei tha wo waqt bahut suhana

umeed hai yehi ki lautenge wo din
wrna kaisi cut ti ye zindagi un paagalon ke bin
aaj aayi thi unki yaad
bhale hi bahut dino ke baad... :) :)

ye intezaar k pal...

Tuesday, December 21, 2010 by Ankur

aaj kiya kisi ka bhut intezaar...aur anth mei ye h uska anjaam.....


krna chahte the unse ek bar baat
hui thi aajtak vaise toh ek hi mulakaat


par pata nahi unka kya jadu chhaya
pata nahi kaun sa andaaz dil ko bhaaya


nahi tha yun toh kuch bolne ko unse
par pata nahi kyun hum fir bhi itna tarse


hum hi jaante hain kaise kate intezaar ke wo pal
bas umeed hai yehi ki shayad baat ho jaye unse kal.....