d d d d d d d d dilli dilli dilli dilli......

Friday, January 14, 2011 by Ankur

namaste doston, 
toh aaj ka topic hai dilli(delhi).......vaise toh delhi ko ek kavita ke andar describe karna bhut mushkil hai...but fir bhi ek chhoti si koshish...

bharat ki hai ye rajdhani
history hai iski bahut jani pehchani
pata nahi vaise ki kisne bajaya pehle baja
aur kaun bana yahan ka pehla raja

asal mein toh ye hai baat 
ki alag hi hain yahan ke din aur raat
 poore desh ki hai ye dhadkan
juda hai isse bharat ka har ek kan

diili mein jaise hi padte hain pair
mann krta hai karne ko iski sair

itihaas se lekar vartmaan tak 
har shetr ka milta hai gyan
kharid na paoge tum
itna milta hai yahan samaan

 bhool nahi sakta koi chandni chowk ki chaat
aur cp ki toh alag hai baat
chahe ho palika ya sarojini nagar
har kadam par hai ek nayi dagar


alag hai yahan ka khana
alag hai yahan ka rehna
par hume toh bas logon se ye hai kehna
ki dilli kam se kam ek baar toh zarur aana....!!!

No comments:

Post a Comment